possasive_eyes
possasive_eyes
About Me
Name
::Reet
From:
:New Delhi, New Delhi, India
View my complete profile
Recent Posts
That's Love
~A Friend is~
"The Key to Love"
I am Near By
why Guys can't win
- 10 Ways to Build a Good Relationship -
How to Flirt
My New Avtaar
When You Love Someone
You Are Loved
Archives
June 2006
July 2006
August 2006
September 2006
October 2006
November 2006
December 2006
January 2008
February 2008
April 2008
Monday, January 28, 2008
~Tere Liye Pyar se~
ruthney ki ada hum ko bhi aati hai mager..
kash koi hota humain bhi mananay wala...
kisi ke pyar mai gehri chot khai hai
wafa se pehle hi be-wafai payi hai
log to dua maangtey hain marne ki
per humne us ki yaadon mein jeeney ki kasam khai hai.....
dushmano mein bhi dost mila karte hain ...
kaanton mein bhi phool khila karte hain...
hum ko kanta samajh k chhod na dena
kaantey hi phoolon ki hifazat kiya kartain hain
deewane hoke hum milnay lage sanam jab say judey hain silsilay
ankhon say ruth kar neendein chali gayi na jaaney kaisay gul khilay
naa jaaney kaisey pyar hua
naa jaaney kab iqrar hua ke apni baat ban gai........!
main jab tumko bahut aane lagoon yaad chali aana..
bhool jana apni kahi har baat chali aana..
judai ka woh manzar woh manzar dhalte sooraj ka....
tumhain yaad aaye jab woh shaam chali aana
ab kya kahun tujh ko mohaabat nahi rahi...
teri talab main pahli si shidat nahi rahi ...
kya teri wafaon ka mausam badal gaya ...
ya tujh ko ab meri mohabbat ki zarorat nahi rahi...
[/img]
Seeshey Se Bani Ek Lardi...
Pathar Ke Naggar Main Aai..
Woh Dhoond Rahi Thi MoTi...
Aur Pathar Se Takrai..
Seeshey Se Bani Ek Larki Is Baat Se Hai Anjani....
Jab Raat Chamakti Hai Too...
Lagti Hai Woh Durr Se Pani...
Yeh Phool Hai Sab Kagaz...
Lekin Woh Samajh Na Pai...
Seeshey Se Bani Ek Lardi...
Pathar Ke Naggar Mei Aai...
Woh Dhond Rahi Thi MoTi..
Aur Pathar Se Takrai
Chaand to nikla hai magar yeh raat na hai pehli si,
Yeh mulaaqaat, mulaaqaat na hai pehli si,
Ranjh kuchh kum to hua aaj teray milne se,
Yeh alag baat ke yeh baat na hai pehli si.
badla woh waqt gehri rafaqat badal gayi
suraj dhala to saaye ki surat badal gayi
shaam hone se pehle lout aana ...
kisi k naam hone se pehle lout aana...
hum tere intezar main hain.....
anjaan hone se pehle lout aana...
subha-shaam rahti hai tere didar ki umeed...
din khatam hone se pehle lout aana...
agar na lout pao to bas itna kar dena
Meri zindagi khatam hone se pehle lout aana
hum koi waqt nahi hain humdum
jab bulaoge chalay aayegey
agar tum ik ansuu hotey to
apki aankho se beh kar marna pasand karte
or agar aap meri aankho ke ansuuu hote
to wada hai dost hum zindagi bhar na rotey
usne door rehne ka mashwara bhi likha hai
sath hi MUHABBAT ka wasta bhi likha haii
usne ye bhi likha hai mere ghar naa aana
or saaf lafzon main raasta bhi likha hai
tuney dekha hi nahi apni hatheli ko kabhi....
is main dhundli si ik lakeer meri bhi hai.
Humne Tumhara Itna Intezaar Kiya
Ki Zindagi Bhi Humse Ruth Kar Chali Gayi
Ek Umeed Hai Tere Aane Ki Apna Tujhe Banane Ki
Na Chain Hai Na Sukoon Hai Ye Kaisa Mera Haal Hai......... .....
Ratain Hogayein Hain Itni Lambi Jo Kaate Nahi Katteen
Na Bhook Hai Na Pyaas Hai Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai
Bas Ek Tera Ehsaas Hai Jo Har Waqt Mere Sath Hai
na kabhi yeh chupaya ki pyar kitna hai
na kabhi yeh bataya ki dard kitna hai..
bas ik humein or us khuda ko maloom hai ......
ki unse mulaqaat ka intezar kitna hai
Posted by Reet :: 11:08 PM ::
0 comments
Post / Read Comments
---------------oOo---------------